Be-Wafaoun Ki Ye Dunya Hai Zara Sambhal Kar Chalna Wasi…! Yahan Log Berbad Kerne K Liye Bhi Muhabbat Ka Sahara Laite Hain...!

17 June, 2012

Sar Se Chadar Badan Se Qaba Le Gai



Sar Se Chadar Badan Se Qaba Le Gai
Zindagi Hum Faqiron Se Kiya Le Gai

Meri Mutthi Mein Sukhe Huye Phool Hain
Khushboon Ko Urakar Hawa Le Gai

Main Samundar K Sine Mein Chattan Tha
Raat Ek Mauj Aayi Baha Le Gai

Hum Jo Kagaz The Ashkon Se Bhige Huye
Kyon Chiragon Ke Lau Tak Hawa Le Gai

Chand Ne Raat Mujhko Jaga Kar Kaha
Ek Ladaki Tumhara Pata Le Gai

Meri Shoharat Siyasat Se Mahafus Hai
Ye Tawayaf Bhi Ismat Bacha Le Gai

Post Comment

Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho



Sun Li Jo Khuda Ne Wo Dua Tum To Nahi Ho
Daravaze Pe Dastak Ki Sada Tum To Nahi Ho

Simati Hui Sharmai Hui Raat Ki Rani
Soi Hui Kaliyon Ki Haya Tum To Nahi Ho

Mahasos Kiya Tum Ko To Gili Hui Palken
Bhige Huye Mausam Ki Ada Tum To Nahi Ho

In Ajanabi Rahon Mein Nahi Koi Bhi Mera
Kis Ne Mujhe Youn Apna Kaha Tum To Nahi Ho

Post Comment

Barey Shauq Se Mera Ghar Jala Koi Aanch Na Tujha Peh Aayegi



Wohi Taj Hai Wohi Takht Hai Wohi Zeher Hai Wohi Jam Hai
Ye Wohi Khuda Ki Zamin Hai Ye Wohi Booton Ka Nizam Hai

Barey Shauq Se Mera Ghar Jala Koi Aanch Na Tujha Peh Aayegi
Ye Zuban Kisi Ne Kharid Li Ye Qalam Kisi Ka Gulam Hai

Main Ye Manata Hun Mere Diye Teri Aandhiyon Ne Bujha Diye
Magar Ik Jogno Hawaon Mein Abhi Roshni Ka Imam Hai

Post Comment

Aj Ke Pyar Ko Mayub Samajhate Honge



Wo Ghazal Walon Ka Uslub Samajhate Honge
Chand Kehete Hain Kise Khub Samjhte Honge

Itni Milati Hai Meri Ghazlon Se Surat Teri
Log Tujh Ko Mera Mahboob Samjhte Honge

Main Samajhta Tha Muhabbat Ki Zaban Khushbu Hai
Phool Se Log Isse Khub Samjhte Honge

Bhool Kar Apna Zamana Ye Zamane Wale
Aj Ke Pyar Ko Mayub Samajhate Honge 

Post Comment