Kissi Ki Aankh Se Sapney Chura Ker Kuch Nahi Milta
Mandeiron Ke Chiraaghon Ko Bhuja Ker Kuch Nahi Milta
Koi Ek Aadha Sapna Ho Tou Ho , Acha Bhi Lagta Hai
Hazaron Khawab Ankhon Mein Saja Ker Kuch Nahi Milta
Unse Kehna Ke Palkon Per Na Tanke Khawbon Ke Jhalar
Samandar Ke Kinare Ghar Bana Ker Kuch Nahi Milta
Yeh Acha Hai Ke Apas Ke Bharam Na Tootne Payen
Kabhi Kabhi Doston Ko Azma Ker Kuch Nahi Milta
Mujhe Aksar Sitaron Se Yehi Awaaz Aati Hai
Kissi Ke Hijr Mein Neendein Ganwaa Ker Kuch Nahi Milta
Jigar Ho Jayega Chalni Yeh Ankhein Khoon Royengi”Jaan”
Wasi Be-Faiz Logon Se Nibha Ker Kuch Nahi Milta!.