Khuda Se Hussn Ney Ek Roz Ye Sawal Kiya
Jahan Main Kiun Na Mujhy Tu Ney Lazawal Kiya?
Mila Jawab Keh Tasvir Khana Hy Dunia
Shab-E-Daraz-E-Addam Ka Fasana Hy Dunia
Howi Hy Rang-E-Taghayur Se Jab Namood Us Ki
Wohi Hussn Hy Haqiqat Zawal Hy Jis Ki
Kahin Qarib Tha, Ye Guftagu Qamar Ney Soni
Falak Peh Aam Howi, Akhtar-E-Sehar Ne Soni
Sehar Ne Tare Se Son Kar Sonai Shabnam Ko
Falak Ki Baat Bata Di Zami K Mehram Ko
Bhar Aaye Phool K Aanso Piyam-E-Shabnam Se
Kali Ka Nana Sa Dil Khoon Ho Gaya Gham Se
Chaman Se Rota Howa Mosum-E-Bahar Gaya
Sabab Sair Ko Aaya Tha Sogwar Gaya