Be-Wafaoun Ki Ye Dunya Hai Zara Sambhal Kar Chalna Wasi…! Yahan Log Berbad Kerne K Liye Bhi Muhabbat Ka Sahara Laite Hain...!

31 January, 2012

آدمی نامہ

Duniya mien badshah hai so hai woh bhi AADMI
Aur Muflis-O-gada hai so hai woh bhi AADMI
Aar dar be nawa hai so hai woh bhi AADMI
Ne’amat jo kha raha hai so hai woh bhi AADMI
Tukde jo mangta hai so hai woh bhi AADMI

Abdaal o Qutb o Ghaus o wali AADMI howe
Munkar bhi AADMI howe aur kufer se bhare
Kya kya karishme kashf o karamat ke kiye
Had ta ke apne zor o riyazat ke zor pe
Khaliq se ja mila hai so hai woh bhi AADMI

Fehiroon ne kiya tha jo daawa khudai ka
Shaddad bhi bahisht bana kar howa khuda
Namrud bhi khuda hi kahaata tha bar mala
Yeh baat hai samajhne ki aage kahoon main kya
Yahn tak jo ho chuka hai so hai woh bhi AADMI

Yahn AADMI hi Naar hai aur aadmi hi Noor
Yan AADMI hi Paas hai aur aadmi hi Door
Kul AADMI ka hussn o qaba mien hai yaan zahoor
Shaitaan bhi aadmi hai jo karta hai Maker o Zor
Aur Haadi, Rehnuma hai so hai woh bhi AADMI

Masjid bhi AADMI ne banai hai yan Miyan
Bante hain AADMI hi Imaam aur Khutba Khwan
Padhte hain AADMI hi Namaaz aur Quran yahan
Aur AADMI hi un ki churaate hain Jootiyan
Unko jo tarhta hai so hai woh bhi AADMI

Yahan AADMI pe jaan ko ware hai AADMI
Aur AADMI hi tegh se maare hai AADMI
Pagrhi bhi AADMI ki utaare hai AADMI
Chilla ke AADMI ko pukare hai AADMI
Aur sun ke daudhta hai so hai woh bhi AADMI

Post Comment